ae shab hijar ab mujhe subah visale chahiye
taaza ghazal ke wastay taaza khayaal chahiye
ae maray charah gir tre bas mein nahi maamla
soorat e haal ke liye waaqif haal chahiye
ahal khiirad ko aaj bhi –apne yaqeen ke liye
jis ki misaal hi nahi is ki misaal chahiye
is ki rafaqaton ka hijar jheliye kab talak ‘Saleem’
apni terhan se ab mujhe woh bhi nidhaal chahiye
اے شب ہجر اب مجھے صبح وصال چاہئے
تازہ غزل کے واسطے تازہ خیال چاہئے
اے مرے چارہ گر ترے بس میں نہیں معاملہ
صورت حال کے لیے واقف حال چاہئے
اہل خرد کو آج بھی اپنے یقین کے لیے
جس کی مثال ہی نہیں اس کی مثال چاہئے
اس کی رفاقتوں کا ہجر جھیلئے کب تلک سلیمؔ
اپنی طرح سے اب مجھے وہ بھی نڈھال چاہئے
Facebook Comments